Wednesday, May 27, 2009

Ek Dost ke lia

Pyar Karne walo ki kismat kharab hoti hai,
Har waqt inteha ki ghadi sath hoti hai,
Waqt mile to rishto ki kitab khol ke dekh lena,
Dosti har rishtey se lajawab hoti hai..

Suna hai kafi asar hota hai baaton mein,

Aap bhi bhul jaoge Do-Chaar mulakaton mein,
Lekin humse bachkar kahan jaoge,
Aapki dosti ki lakeer hai mere haathon mein..


Aapki dosti ki ek nazar chahiye,
Dil hai beghar use ek Ghar chahiye,
Bas yun hi saath chalte raho a dost,
Ye Dosti hume umar bhar chahiye..

Dosti ke mayne hamse kya puchte ho,
Hum abhi in baton se anjaan hain,
Sirf ek gujarish hai ke bhool na jana hame,
Kyonki aapki dosti hi hamari jaan hai..

Har phool ki ajab kahani hai,
chup rehna bhi pyar ki nishani hai,
kahin koi zakhm nai phir bhi kyun dard ka ehsas hai,
lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi uske paas hai..

Chal pade the duniya ke mele dekhne
khud uska hissa ban gaye??
kisse ab aap kya sunaate hain huzoor
aap to khud kissa ban gaye…
Teri yaad me aasson ka samandar bana liya,
Tanhai ke saher me apna ghar bana liya,
Suna hai log pujte hai patther ko, Is liye dil apna patther bana liya
Dil tootega toh fariyaad karoge tum bhi
hum na rahe toh hamein yaad karoge tum bhi
aaj kehte ho hamare paas vaqt nahin
par ek din mere liye vaqt barbaad karoge tum bhi.
kabhi dil ka koi kona yunhi veeraan ho jae
koi bhi baat na ho par kahin bhi chain na aaye
na koi arzzoo jaage na koi khwaab yaad aae
bila vajah puraani kuchh kitaben dhoondna chaho
aur jab vo dhoond na paao to bas yun aankh bhar aaye
khazaana kho diya koi ,koi phir tum se hai bichhda
na lena naam hai jiska jise na yaad kar paao
samajh lena usi pas ek pal main yaad karti hun….
its mine
Dua karte hai hum KHUDA se,
Dua karte hai hum KHUDA se,
Aye KHUDA humara pyara apni manzil paye,
Uski raho me andhera aaye…
Toh roshni ke liye hame jalaye
Yaadon ki dhoond mein teri parchai si lagti hai,
Sannate me gunjati koi sahnai si lagti hai,
Tum ho to apnapan hai,
Warna seene mein saanse bhi parai si lagti hai..!!
Kabhi yun bh aa mere aankh mein
Ki meri nazar ko khabar na ho
Mujhe ek raat nawaz de
Magar uske baad sahar na ho

No comments:

Post a Comment